Ramadan Ki Duain – Ramzan Chand Ki Dua

Ramadan Ki Duain
5
(19)

Ramadan Ki Duain

Asalam-o-alaikum!

Ramadan ki duain utni hi paak hain jitna ki ye mahina. Ramadan ki dua padhne se hum  Allah ke aur kareeb ho jaat hain. Kehte hain ki ramzan mein ek din roza rakhna ek mahiney ke roze ke barabar hai. Isliye ramzan ki misail aur aehmiyat ko samjhate huye aaj hum aapse ramzan ki dua bataengey. Ye sabhi duaen aapko 30 din tak karni hai.

Aye Emaan Walo Tum Par Roze Farz Kiye Gaye Jaise Tumse Pichli Ummato Par Farz Kiye They Taake Kahi Tum Taqwa Ikhtiyar Karo”. – (Al-Quraan 2:183)

Ramzan ke dino mein roza rakhna Islam me farz kia gaya hai.Roze karne ka farz humey isliye mila hai taaki hum Allah ki aehmiyat samajh ke haram ke kaamo se aehityat barat sake. Ramzan ki duain aapki isme kaafi madaad karengi aur aapke ramzan ko aur paak bana degi. Ab hum aapke saamne pesh kar rahe hai ramzan ki dua aur ashron ki dua.

Ramzan Ki Dua

Ramzan Ki Dua

Pehla Ashra(ramzan ke pehle 10 din)

See also  Har Bimari Se Bachne Ki Dua in Hindi

Doosra Ahsra (ramzan ke agley 10 din)

Teesra Ashra(aakhir ke 10 din)

  • Ramzan ke pehle Ashra ki dua: Ya Hayy U Ya Qayyum Birahmatika Astaghees. اے زندہ اور قائم رب! میں تیری رحمت کے حصول کی فریاد کرتا ہوں۔
  • Ramzan ke dusre Ashra ki dua: Astaghfirullaha Rabbi Min Kulli Zambin Wa Atoobu Ilaih. میرے رب! میں اپنے گناہوں کی مغفرت چاہتا ہوں اور تیری جانب پلٹتا (توبہ کرتا) ہوں۔
  • Ramzan ke teesrey Ashra ki dua: Allahumma Ajirni Minan Nar اے اللہ! مجھے آگ کے عذاب سے بچا لے۔

Ramadan Chand Ki Dua

Ramadan Chand Ki Dua

Ramadan chand ki dua neechey di hui hai:Ramzan ka chand zaroor dekhna chahye aur iske liye  baaz ulmaon ne  chand dekhne ko bahut hi wajib karar diya hai. Ramzan ka chand dekhte wakt Qibla ki taraf mooh kar ke dono haath buland kare aur ramadan chand ki dua pahden.

Sabse pehle Bismillah Ar’Rahman Ar’Rahim kahe aur ye dua bole,

اللَّهُمَّ أَهِلَّهُ علَيْنَا بِالأَمْنِ والإِيمَانِ وَالسَّلامَةِ والإِسْلامِ ، رَبّي ورَبُّكَ اللَّه ، هلال رشد وخير

Allahumma Ahillahu Alaina Bil-Amni Wal-Iman, Was-Salamati Wal-Islam,

Rabbi Wa Rabbuk-Allah

Ramzan ke mahiney me Allah jannat ke darwaze kholta hai aur hum par apni naimaten barsaata hai. Ramzan me mustahik logo ki madad karni chahye aur roza rakhne walo ko iftar karae. Ramzan ke dino mein haram aur halal ke kamo se aehtiyat baratni chahye, na kisi ko dhoka dena chahye aur na hi kisi ke bare me galat khayal aapke mann mein aane chahye. Ramzan ko isliye zaruratmando ki neki ka mausam-e-bahar kaha gaya hai

See also  Powerful Dua To Get What You Want

Muhammad Sallal ne farmaya hai ki us shaks ke gunaah maaf kar diye jaengey jo namaz ke rozey imaan aur aehtesaab rakhega. Ramzan ka mahina humare liye beshumaar hadeesen leke aata hai toh zarurat hai ki hum imandaari ke saath is par amal kare. Ramadan ki duain padhe aur doosro ko bhi ramzan ki dua ki fazilat batae. Jitna ho sake Allah ka shukar adaa kare aur Quran ki tilawat kare. Aap sabhi ko Ramzan Mubarak!

How useful was this post?

Click on a star to rate it!

We are sorry that this post was not useful for you!

Let us improve this post!

Tell us how we can improve this post?

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*